karna hai jo kaam kar raha hun
karnā hai jo kaam kar rahā huuñ
dīvānoñ meñ naam kar rahā huuñ
duniyā tirī dil-farebiyoñ meñ
be-lāg qayām kar rahā huuñ
ḳhud phūñk ke apnā āshiyāna
bijlī ko salām kar rahā huuñ
ḳhāmosh hai kā.enāt saarī
maiñ dil se kalām kar rahā huuñ
añgḌā.iyāñ le rahā hai koī
afsāna tamām kar rahā huuñ
marne pe mire na aap ro.eñ
tabdīl-e-maqām kar rahā huuñ
saaqī se 'sa.īd' jaam le kar
duniyā ko salām kar rahā huuñ
karna hai jo kaam kar raha hun
diwanon mein nam kar raha hun
duniya teri dil-farebiyon mein
be-lag qayam kar raha hun
KHud phunk ke apna aashiyana
bijli ko salam kar raha hun
KHamosh hai kaenat sari
main dil se kalam kar raha hun
angDaiyan le raha hai koi
afsana tamam kar raha hun
marne pe mere na aap roen
tabdil-e-maqam kar raha hun
saqi se 'said' jam le kar
duniya ko salam kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.