karo jo chaho humse puchhna kya
karo jo chaho humse puchhna kya
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
karo jo chāho ham se pūchhnā kyā
hamārī aarzū kyā mudda.ā kyā
samajh kā pher hai achchhā burā sab
jo sach pūchho to achchhā kyā burā kyā
kareñ sajda faqat ham bahr-sajda
nahīñ manzūr banda kyā ḳhudā kyā
jise mil jaa.e tere ġham kī daulat
ġham-e-duniyā se us ko vāsta kyā
aizzah kyuuñ sar-e-bālīñ haiñ ḳhāmosh
marīz-e-ġham abhī se so gayā kyā
mare jaate haiñ ham ḳhauf-e-fanā se
na ho marnā to jiine meñ burā kyā
na jaane aaj kyuuñ bigḌe hue ho
kisī ne kaan meñ kuchh kah diyā kyā
na jiinā haath meñ apne na marnā
bashar kī ibtidā kyā intihā kyā
sitam dekho mujhī se pūchhte haiñ
nasīb-e-dushmanāñ kuchh ho gayā kyā
hamārā kaam hai ghuT ghuT ke marnā
vahī jaane jafā kyā hai vafā kyā
sar-e-mimbar koī jā kar to dekhe
abhī tak hai dar-e-mai-ḳhāna vā kyā
vo vaqt-e-sub.h ruḳhsat ho rahe haiñ
yahī hai shām-e-ġham kī ibtidā kyā
but-e-kāfir se ulfat hai 'sahar' ko
vahī jaane ki but kyā hai ḳhudā kyā
karo jo chaho hum se puchhna kya
hamari aarzu kya muddaa kya
samajh ka pher hai achchha bura sab
jo sach puchho to achchha kya bura kya
karen sajda faqat hum bahr-sajda
nahin manzur banda kya KHuda kya
jise mil jae tere gham ki daulat
gham-e-duniya se us ko wasta kya
aizzah kyun sar-e-baalin hain KHamosh
mariz-e-gham abhi se so gaya kya
mare jate hain hum KHauf-e-fana se
na ho marna to jine mein bura kya
na jaane aaj kyun bigDe hue ho
kisi ne kan mein kuchh kah diya kya
na jina hath mein apne na marna
bashar ki ibtida kya intiha kya
sitam dekho mujhi se puchhte hain
nasib-e-dushmanan kuchh ho gaya kya
hamara kaam hai ghuT ghuT ke marna
wahi jaane jafa kya hai wafa kya
sar-e-mimbar koi ja kar to dekhe
abhi tak hai dar-e-mai-KHana wa kya
wo waqt-e-subh ruKHsat ho rahe hain
yahi hai sham-e-gham ki ibtida kya
but-e-kafir se ulfat hai 'sahar' ko
wahi jaane ki but kya hai KHuda kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.