karta ghairon ke tamir ghar aadmi
kartā ġhairoñ ke tā'mīr ghar aadmī
kar ke fōtpath par ḳhud basar aadmī
is qadar aaj bekār insāñ huā
bhiiḌ meñ aa rahā ab nazar aadmī
ek tūfāñ meñ kitne makāñ Dhah ga.e
mushkiloñ se banā paatā ghar aadmī
'aib ġhairoñ ke hai DhūñDne meñ lagā
apne 'aiboñ se hai be-ḳhabar aadmī
aaj chhoTe baḌoñ kā nahīñ hai adab
apnī tahzīb se be-asar aadmī
mādar-e-hind par jo bhī qurbāñ huā
mar ke bhī ho gayā vo amar aadmī
saa.e meñ jis ke insān zinda rahe
is liye hai lagātā shajar aadmī
karta ghairon ke ta'mir ghar aadmi
kar ke footpath par KHud basar aadmi
is qadar aaj bekar insan hua
bhiD mein aa raha ab nazar aadmi
ek tufan mein kitne makan Dhah gae
mushkilon se bana pata ghar aadmi
'aib ghairon ke hai DhunDne mein laga
apne 'aibon se hai be-KHabar aadmi
aaj chhoTe baDon ka nahin hai adab
apni tahzib se be-asar aadmi
madar-e-hind par jo bhi qurban hua
mar ke bhi ho gaya wo amar aadmi
sae mein jis ke insan zinda rahe
is liye hai lagata shajar aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.