karta hun tere zulm se har bar al-ghiyas
kartā huuñ tere zulm se har baar al-ġhiyās
yak baar tere dil meñ nahīñ kaar al-ġhiyās
terī nigah ko dekh ke gardish meñ āsmān
kartā phire hai sho.abada davvār al-ġhiyās
maġhrūr husn kā hai tujhe ye kahāñ ḳhabar
ya.anī ki kaun hai pas-e-dīvār al-ġhiyās
'saudā' maiñ kahtā huuñ ki ye parhez ishq se
rusvā hai kyuuñ tū kūcha o bāzār al-ġhiyās
karta hun tere zulm se har bar al-ghiyas
yak bar tere dil mein nahin kar al-ghiyas
teri nigah ko dekh ke gardish mein aasman
karta phire hai shoabada dawwar al-ghiyas
maghrur husn ka hai tujhe ye kahan KHabar
yani ki kaun hai pas-e-diwar al-ghiyas
'sauda' main kahta hun ki ye parhez ishq se
ruswa hai kyun tu kucha o bazar al-ghiyas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.