karte karte jaldi maine
karte karte jaldī maiñ ne
āḳhir kar dī derī maiñ ne
utnī choTeñ miltī ga.ī haiñ
jitnī chyūñTī maarī maiñ ne
dushman kā bhī dil jiitā hai
jang nahīñ bas jiitī maiñ ne
ġham kī baaḌh aane vaalī hai
kar liiñ āñkheñ pyāsī maiñ ne
kal dekhī thī dariyā meñ ik
pyāsī machhlī martī maiñ ne
sochā na thā sach hoñgī bāteñ
jo ġhusse meñ bolī maiñ ne
karte karte jaldi main ne
aaKHir kar di deri main ne
utni choTen milti gai hain
jitni chyunTi mari main ne
dushman ka bhi dil jita hai
jang nahin bas jiti main ne
gham ki baDh aane wali hai
kar lin aankhen pyasi main ne
kal dekhi thi dariya mein ek
pyasi machhli marti main ne
socha na tha sach hongi baaten
jo ghusse mein boli main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.