Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karte rahen wabasta un se chahe jo afsane log

Kashfi Lucknavi

karte rahen wabasta un se chahe jo afsane log

Kashfi Lucknavi

MORE BYKashfi Lucknavi

    karte raheñ vābasta un se chāhe jo afsāne log

    'ishq meñ rusvā.ī parvā karte haiñ kab dīvāne log

    kis ko sadā.eñ detā hai shahr-e-tamannā meñ ai dil

    kaun yahāñ hai terā sāthī sabhī to haiñ begāne log

    kis ko sunā.eñ hāl-e-tabāhī kis ko dikhā.eñ zaḳhm-e-jigar

    daur-e-sitam hai rahm kahāñ ab zulm ke haiñ dīvāne log

    shaiḳh-o-barahman bātoñ meñ dair-o-haram ke jhagḌe haiñ

    chaal meñ in phir kyuuñ aa.eñ ham jaise mastāne log

    faiz-e-junūñ se jaag uThā hai aaj muqaddar sahrā

    phuul khilāte haiñ is meñ bhī dekhiye kuchh dīvāne log

    bachte hue sab se aa.e the mahfil-e-zindāñ jānib

    mil ga.e uf ham ko yahāñ bhī kuchh jaane pahchāne log

    ahl-e-junūñ ke faiz se kashfī duniyā meñ bedār hai

    baat pate kah dete haiñ aksar ye dīvāne log

    karte rahen wabasta un se chahe jo afsane log

    'ishq mein ruswai ki parwa karte hain kab diwane log

    kis ko sadaen deta hai tu shahr-e-tamanna mein ai dil

    kaun yahan hai tera sathi sabhi to hain begane log

    kis ko sunaen haal-e-tabahi kis ko dikhaen zaKHm-e-jigar

    daur-e-sitam hai rahm kahan ab zulm ke hain diwane log

    shaiKH-o-barahman ki baaton mein dair-o-haram ke jhagDe hain

    chaal mein in ki phir kyun aaen hum jaise mastane log

    faiz-e-junun se jag uTha hai aaj muqaddar sahra ka

    phul khilate hain is mein bhi dekhiye kuchh diwane log

    bachte hue sab se aae the mahfil-e-zindan ki jaanib

    mil hi gae uf hum ko yahan bhi kuchh jaane pahchane log

    ahl-e-junun ke faiz se kashfi duniya mein bedar hi hai

    baat pate ki kah dete hain aksar ye diwane log

    Source :
    • Saaz-o-Naghma
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now