karti hai mujhe qatl mere yar ki raftar
kartī hai mujhe qatl mire yaar kī raftār
talvār kī talvār hai raftār kī raftār
kaj aisī na thī aage mire yaar kī raftār
sīkhā hai magar charḳh-e-sitam-gār kī raftār
sar girte haiñ kaT kaT ke vo rakhtā hai jahāñ paañv
sīkhī hai magar yaar ne talvār kī raftār
gardish hai tirī nargis-e-bīmār ko din-rāt
dekhī nahīñ aisī kisī bīmār kī raftār
Taltī nahīñ zulfoñ ke tasavvur kī tarah se
hai turfa judā.ī kī shab-e-tār kī raftār
laġhzish na ho kyuuñ kar rah-e-dīñ meñ mujhe zāhid
yaad aa ga.ī us kāfir-e-mai-ḳhvār kī raftār
zālim tire kūche se qadam uTh nahīñ saktā
kyuuñ kar na chalūñ sāya-e-dīvār kī raftār
kyā maar ko nisbat tire gesū ke chalan se
hai sāya-e-gesū meñ sanam maar kī raftār
motī evaz-e-naqsh-e-qadam girte haiñ 'nāsiḳh'
aisī hai mirī kilk-e-guhar-bār kī raftār
karti hai mujhe qatl mere yar ki raftar
talwar ki talwar hai raftar ki raftar
kaj aisi na thi aage mere yar ki raftar
sikha hai magar charKH-e-sitam-gar ki raftar
sar girte hain kaT kaT ke wo rakhta hai jahan panw
sikhi hai magar yar ne talwar ki raftar
gardish hai teri nargis-e-bimar ko din-raat
dekhi nahin aisi kisi bimar ki raftar
Talti nahin zulfon ke tasawwur ki tarah se
hai turfa judai ki shab-e-tar ki raftar
laghzish na ho kyun kar rah-e-din mein mujhe zahid
yaad aa gai us kafir-e-mai-KHwar ki raftar
zalim tere kuche se qadam uTh nahin sakta
kyun kar na chalun saya-e-diwar ki raftar
kya mar ko nisbat tere gesu ke chalan se
hai saya-e-gesu mein sanam mar ki raftar
moti ewaz-e-naqsh-e-qadam girte hain 'nasiKH'
aisi hai meri kilk-e-guhar-bar ki raftar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.