karun main kis tarah shikwa kisi se dil-figari ka
karun main kis tarah shikwa kisi se dil-figari ka
Tilok Chand Mahroom
MORE BYTilok Chand Mahroom
karūñ maiñ kis tarah shikva kisī se dil-figārī kā
ki dil bhūkā hai sau sau zaḳhm khā kar zaḳhm-kārī kā
gulistāñ par baḌā ehsān thā abr-e-bahārī kā
na hotā us ke dāman meñ jo sāmān barq-bārī kā
bahāreñ baar baar aa.iiñ chaman meñ gul khile lākhoñ
na aayā ek bhī jhoñkā idhar bād-e-bahārī kā
kinār-e-sindh guzrī hai mirī ik umr ai shabnam
salīqa mujh ko dariyā ne sikhāyā ashk-bārī kā
ġhamoñ ke jam.a karne meñ zarar hai ai dil-e-nādāñ
ki ahd-e-nau hai dushman sheva-e-sarmāya-dārī kā
azīzo dosto vo vaqt bhī ab aane vaalā hai
yaqīñ jab aa.egā tum ko mirī be-iḳhtyārī kā
riyā-kārī meñ ai 'mahrūm' tujh sā bhī koī hogā
ki har mahfil meñ charchā hai tirī parhez-gārī kā
karun main kis tarah shikwa kisi se dil-figari ka
ki dil bhuka hai sau sau zaKHm kha kar zaKHm-kari ka
gulistan par baDa ehsan tha abr-e-bahaari ka
na hota us ke daman mein jo saman barq-bari ka
bahaaren bar bar aain chaman mein gul khile lakhon
na aaya ek bhi jhonka idhar baad-e-bahaari ka
kinar-e-sindh guzri hai meri ek umr ai shabnam
saliqa mujh ko dariya ne sikhaya ashk-bari ka
ghamon ke jama karne mein zarar hai ai dil-e-nadan
ki ahd-e-nau hai dushman shewa-e-sarmaya-dari ka
azizo dosto wo waqt bhi ab aane wala hai
yaqin jab aaega tum ko meri be-iKHtyari ka
riya-kari mein ai 'mahrum' tujh sa bhi koi hoga
ki har mahfil mein charcha hai teri parhez-gari ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.