karunga ishq wirasat ka kuchh bataunga nain
karūñgā ishq virāsat kā kuchh batā.ūñgā na.iiñ
maiñ ik ġharīb kī beTī ko āzmā.ūñgā na.iiñ
unheñ kaho ki bahut Dher shor-o-shar na kareñ
maiñ Dar gayā to ka.ī roz muskurā.ūñgā na.iiñ
tasallī dūñgā to mar jā.egī vo laḌkī hai
maiñ jaane dūñgā gale se use lagā.ūñgā na.iiñ
use ḳhabar bhī nahīñ hogī itnā chāhūñgā
use pata bhī nahīñ hogā maiñ batā.ūñgā na.iiñ
ye rāsta baḌī mushkil se tai kiyā maiñ ne
ye fāsla hai diloñ kā ise miTā.ūñgā na.iiñ
tirā mutālba hai terī yaad ke aañsū
maiñ ab ke royā to āñkhoñ ko bhī bachā.ūñgā na.iiñ
aur ab kī sālgirah par plan kyā hai tirā
aur ab kī baar to maiñ sāmne bhī ā.ūñgā na.iiñ
maiñ tujh se aañkh milā kar ġhazal sunā.ūñgā
maiñ ḳhud ko Dūbtā dekhūñgā aur bachā.ūñgā na.iiñ
karunga ishq wirasat ka kuchh bataunga nain
main ek gharib ki beTi ko aazmaunga nain
unhen kaho ki bahut Dher shor-o-shar na karen
main Dar gaya to kai roz muskuraunga nain
tasalli dunga to mar jaegi wo laDki hai
main jaane dunga gale se use lagaunga nain
use KHabar bhi nahin hogi itna chahunga
use pata bhi nahin hoga main bataunga nain
ye rasta baDi mushkil se tai kiya main ne
ye fasla hai dilon ka ise miTaunga nain
tera mutalba hai teri yaad ke aansu
main ab ke roya to aankhon ko bhi bachaunga nain
aur ab ki salgirah par plan kya hai tera
aur ab ki bar to main samne bhi aaunga nain
main tujh se aankh mila kar ghazal sunaunga
main KHud ko Dubta dekhunga aur bachaunga nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.