kasak dil ki miTane mein zara si der lagti hai
kasak dil kī miTāne meñ zarā sī der lagtī hai
kisī kā ġham bhulāne meñ zarā sī der lagtī hai
kisī ko chaah kar apnā banānā Thiik hai lekin
mohabbat āzmāne meñ zarā sī der lagtī hai
tumheñ paane kī ḳhvāhish meñ huā ehsās ye mujh ko
muqaddar āzmāne meñ zarā sī der lagtī hai
jise minnat murādoñ se baḌī mushkil se paayā ho
use dil se bhulāne meñ zarā sī der lagtī hai
ki jis dil kī zamīñ barsoñ se banjar ho to phir us par
na.ī chāhat ugāne meñ zarā sī der lagtī hai
ġhazal paḌh kar to āsānī se mahfil luuT sakte ho
magar izzat kamāne meñ zarā sī der lagtī hai
dil-e-muztar ko āḳhir kaun samjhā.egā ai 'rāhī'
sukūn-e-qalb paane meñ zarā sī der lagtī hai
kasak dil ki miTane mein zara si der lagti hai
kisi ka gham bhulane mein zara si der lagti hai
kisi ko chah kar apna banana Thik hai lekin
mohabbat aazmane mein zara si der lagti hai
tumhein pane ki KHwahish mein hua ehsas ye mujh ko
muqaddar aazmane mein zara si der lagti hai
jise minnat muradon se baDi mushkil se paya ho
use dil se bhulane mein zara si der lagti hai
ki jis dil ki zamin barson se banjar ho to phir us par
nai chahat ugane mein zara si der lagti hai
ghazal paDh kar to aasani se mahfil luT sakte ho
magar izzat kamane mein zara si der lagti hai
dil-e-muztar ko aaKHir kaun samjhaega ai 'rahi'
sukun-e-qalb pane mein zara si der lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.