kashish-e-husn ki ye anjuman-arai hai
kashish-e-husn kī ye anjuman-ārā.ī hai
saarī duniyā tire kūche meñ simaT aa.ī hai
dard ne kho.e hue dil kī jagah paa.ī hai
ik balā sar se ga.ī ek balā aa.ī hai
jaañ nisāroñ ko sahārā jo na jiine kā milā
kū-e-qātil meñ qazā khīñch ke le aa.ī hai
maiñ chhupātā huuñ ġham-e-ishq to bantā nahīñ kaam
aur kahtā huuñ to goyā mirī rusvā.ī hai
jigar o dil meñ tarāzū na ho kyuuñ nāvak-e-nāz
is ko donoñ se barābar kī shanāsā.ī hai
dil ye kahtā hai vahāñ jā ke sambhal jā.ūñgā
maiñ ye kahtā huuñ ki bad-baḳht kī maut aa.ī hai
ban ke nāseh vo ye kahte haiñ mohabbat na karo
mujh ko marne nahīñ dete ye masīhā.ī hai
sab jise dāġh-e-dil o zaḳhm-e-jigar kahte haiñ
vo mire nāḳhun-e-ġham kī chaman-ārā.ī hai
kyā hai duniyā meñ numūd aur numā.ish ke sivā
zindagī ham ko tamāshe ke liye laa.ī hai
ishq rusvā-kun-e-ālam vo hai 'ahsan' jis se
nek-nāmoñ kī bhī bad-nāmī o rusvā.ī hai
kashish-e-husn ki ye anjuman-arai hai
sari duniya tere kuche mein simaT aai hai
dard ne khoe hue dil ki jagah pai hai
ek bala sar se gai ek bala aai hai
jaan nisaron ko sahaara jo na jine ka mila
ku-e-qatil mein qaza khinch ke le aai hai
main chhupata hun gham-e-ishq to banta nahin kaam
aur kahta hun to goya meri ruswai hai
jigar o dil mein taraazu na ho kyun nawak-e-naz
is ko donon se barabar ki shanasai hai
dil ye kahta hai wahan ja ke sambhal jaunga
main ye kahta hun ki bad-baKHt ki maut aai hai
ban ke naseh wo ye kahte hain mohabbat na karo
mujh ko marne nahin dete ye masihai hai
sab jise dagh-e-dil o zaKHm-e-jigar kahte hain
wo mere naKHun-e-gham ki chaman-arai hai
kya hai duniya mein numud aur numaish ke siwa
zindagi hum ko tamashe ke liye lai hai
ishq ruswa-kun-e-alam wo hai 'ahsan' jis se
nek-namon ki bhi bad-nami o ruswai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.