kashmakash mein khul na jae aap ka sar dekhna
kashmakash meñ khul na jaa.e aap kā sar dekhnā
paañv phailāne se pahle apnī chādar dekhnā
ye sitam-sāmāniyāñ haq meñ hamāre jā.eñgī
jiit hogī sabr kī hāregā ḳhanjar dekhnā
phir har ik jānib khileñge ḳhushnumā taaza gulāb
phir uḌaa.e jā.eñge har sū kabūtar dekhnā
qarz ke malbe meñ dab kar rah gayā har ik makīñ
kitnā mahñgā paḌ gayā hai ḳhvāb meñ ghar dekhnā
chaar paise jo kamāne lag gayā laḳht-e-jigar
ab tumheñ dikhlā.egā ye apne tevar dekhnā
kashmakash mein khul na jae aap ka sar dekhna
panw phailane se pahle apni chadar dekhna
ye sitam-samaniyan haq mein hamare jaengi
jit hogi sabr ki haarega KHanjar dekhna
phir har ek jaanib khilenge KHushnuma taza gulab
phir uDae jaenge har su kabutar dekhna
qarz ke malbe mein dab kar rah gaya har ek makin
kitna mahnga paD gaya hai KHwab mein ghar dekhna
chaar paise jo kamane lag gaya laKHt-e-jigar
ab tumhein dikhlaega ye apne tewar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.