Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fikr-e-dildari-e-gulzar karun ya na karun

Faiz Ahmad Faiz

fikr-e-dildari-e-gulzar karun ya na karun

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    Interesting Fact

    Dedicated to Sauda

    fikr-e-dildāri-e-gulzār karūñ na karūñ

    zikr-e-murġhān-e-giraftār karūñ na karūñ

    qissa-e-sāzish-e-aġhyār kahūñ na kahūñ

    shikva-e-yār-e-tarah-dār karūñ na karūñ

    jaane kyā vaz.a hai ab rasm-e-vafā ai dil

    vaz-e-derīna pe isrār karūñ na karūñ

    jaane kis rañg meñ tafsīr kareñ ahl-e-havas

    mad.h-e-zulf-o-lab-o-ruḳhsār karūñ na karūñ

    yuuñ bahār aa.ī hai imsāl ki gulshan meñ sabā

    pūchhtī hai guzar is baar karūñ na karūñ

    goyā is soch meñ hai dil meñ lahū bhar ke gulāb

    dāman o jeb ko gulnār karūñ na karūñ

    hai faqat murġh-e-ġhazal-ḳhvāñ ki jise fikr nahīñ

    mo.atadil garmi-e-guftār karūñ na karūñ

    fikr-e-dildari-e-gulzar karun ya na karun

    zikr-e-murghan-e-giraftar karun ya na karun

    qissa-e-sazish-e-aghyar kahun ya na kahun

    shikwa-e-yar-e-tarah-dar karun ya na karun

    jaane kya waza hai ab rasm-e-wafa ki ai dil

    waz-e-derina pe israr karun ya na karun

    jaane kis rang mein tafsir karen ahl-e-hawas

    madh-e-zulf-o-lab-o-ruKHsar karun ya na karun

    yun bahaar aai hai imsal ki gulshan mein saba

    puchhti hai guzar is bar karun ya na karun

    goya is soch mein hai dil mein lahu bhar ke gulab

    daman o jeb ko gulnar karun ya na karun

    hai faqat murgh-e-ghazal-KHwan ki jise fikr nahin

    moatadil garmi-e-guftar karun ya na karun

    Source :
    • Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 141)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now