aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kya hai mohabbat mein to aisa nahin hota

Shahryar

ye kya hai mohabbat mein to aisa nahin hota

Shahryar

MORE BYShahryar

    ye kyā hai mohabbat meñ to aisā nahīñ hotā

    maiñ tujh se judā ho ke bhī tanhā nahīñ hotā

    is moḌ se aage bhī koī moḌ hai varna

    yuuñ mere liye kabhī Thahrā nahīñ hotā

    kyuuñ merā muqaddar hai ujāloñ siyāhī

    kyuuñ raat ke Dhalne pe saverā nahīñ hotā

    itnī na tabdīl huī hotī ye duniyā

    maiñ ne ise ḳhvāb meñ dekhā nahīñ hotā

    sunte haiñ sabhī ġhaur se āvāz-e-jaras ko

    manzil taraf koī ravāna nahīñ hotā

    dil tark-e-ta.alluq pe bhī āmāda nahīñ hai

    aur haq bhī adā is se vafā nahīñ hotā

    ye kya hai mohabbat mein to aisa nahin hota

    main tujh se juda ho ke bhi tanha nahin hota

    is moD se aage bhi koi moD hai warna

    yun mere liye tu kabhi Thahra nahin hota

    kyun mera muqaddar hai ujalon ki siyahi

    kyun raat ke Dhalne pe sawera nahin hota

    ya itni na tabdil hui hoti ye duniya

    ya main ne ise KHwab mein dekha nahin hota

    sunte hain sabhi ghaur se aawaz-e-jaras ko

    manzil ki taraf koi rawana nahin hota

    dil tark-e-talluq pe bhi aamada nahin hai

    aur haq bhi ada is se wafa ka nahin hota

    Source:

    sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 344)

    Tagged Under

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now