kashti-e-gham ka naKHuda na raha
kashtī-e-ġham kā nāḳhudā na rahā
koī hamdard ham-navā na rahā
jām-o-sāġhar vo mai-kada na rahā
baa'd tere vo silsila na rahā
ho ke merā jo tū mirā na rahā
phir kisī se mujhe gila na rahā
yuuñ gayā ruuTh kar koī mujh se
phir manāne kā hausla na rahā
kyā ḳhizāñ se rakheñ adāvat ham
jab bahāroñ se vāsta na rahā
tujh se Takrā ke ai ġham-e-jānāñ
yaad koī bhī hādisa na rahā
laḌkhaḌātā hai dam jo siine meñ
ye bhī kal tak rahā rahā na rahā
kashti-e-gham ka naKHuda na raha
koi hamdard ham-nawa na raha
jam-o-saghar wo mai-kada na raha
ba'd tere wo silsila na raha
ho ke mera jo tu mera na raha
phir kisi se mujhe gila na raha
yun gaya ruTh kar koi mujh se
phir manane ka hausla na raha
kya KHizan se rakhen adawat hum
jab bahaaron se wasta na raha
tujh se Takra ke ai gham-e-jaanan
yaad koi bhi hadisa na raha
laDkhaData hai dam jo sine mein
ye bhi kal tak raha raha na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.