kashtiyon se utar na jaen kahin
kashtiyoñ se utar na jaa.eñ kahīñ
log tūfān se Dar na jaa.eñ kahīñ
zindagī hai ki aag kā dariyā
shiddat-e-ġham se mar na jaa.eñ kahīñ
jin ko zulmat ne bāñdh rakhā hai
chāñdnī meñ bikhar na jaa.eñ kahīñ
rok ashkoñ ko ab sar-e-mizhgāñ
ye bhī had se guzar na jaa.eñ kahīñ
aao likh leñ lahū se ahd-e-vafā
qaul se ham mukar na jaa.eñ kahīñ
un kī yādoñ ke zaḳhm ai 'ālam'
vaqt se pahle bhar na jaa.eñ kahīñ
kashtiyon se utar na jaen kahin
log tufan se Dar na jaen kahin
zindagi hai ki aag ka dariya
shiddat-e-gham se mar na jaen kahin
jin ko zulmat ne bandh rakha hai
chandni mein bikhar na jaen kahin
rok ashkon ko ab sar-e-mizhgan
ye bhi had se guzar na jaen kahin
aao likh len lahu se ahd-e-wafa
qaul se hum mukar na jaen kahin
un ki yaadon ke zaKHm ai 'alam'
waqt se pahle bhar na jaen kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.