kaT gae hum to habibon se ijazat le kar
kaT ga.e ham to habīboñ se ijāzat le kar
ham se miltā hai raqīboñ se ijāzat le kar
nahīñ chāra to hai tahzīb isī meñ ai jaañ
aaj mar jaa.eñ tabīboñ se ijāzat le kar
ham to marte rahe shamshād qadoñ par aksar
kyā ji.eñ aaj salīboñ se ijāzat le kar
tum ne pūchhā to ināyat hai tumhārī varna
kaun jaatā hai ġharīboñ se ijāzat le kar
zindagī kyuuñ hai tū ab mil ke pashemāñ ham se
tum ko aanā thā nasīboñ se ijāzat le kar
kaT gae hum to habibon se ijazat le kar
hum se milta hai raqibon se ijazat le kar
nahin chaara to hai tahzib isi mein ai jaan
aaj mar jaen tabibon se ijazat le kar
hum to marte rahe shamshad qadon par aksar
kya jien aaj salibon se ijazat le kar
tum ne puchha to inayat hai tumhaari warna
kaun jata hai gharibon se ijazat le kar
zindagi kyun hai tu ab mil ke pasheman hum se
tum ko aana tha nasibon se ijazat le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.