kaT gayā rishtha-e-ulfat jo tirā naam aayā
dil vafādār thā lekin na mire kaam aayā
ishq ke hāthoñ charāġh ek sar-e-shām aayā
tīra-baḳhtī meñ mirā dil hī mire kaam aayā
talab-e-mulk-e-adam se na jahāñ dekh sakā
abhī manzil pe na utrā thā ki paiġhām aayā
nāzish-e-dahr na thā maiñ to pas-e-murdan kyuuñ
mahfil-e-ġhair meñ sau baar mirā naam aayā
sham.a roī to vo kuchh der sahī turbat par
ḳhair koī to zamāne meñ mire kaam aayā
kaT gaya rishtha-e-ulfat jo tera nam aaya
dil wafadar tha lekin na mere kaam aaya
ishq ke hathon charagh ek sar-e-sham aaya
tira-baKHti mein mera dil hi mere kaam aaya
talab-e-mulk-e-adam se na jahan dekh saka
abhi manzil pe na utra tha ki paigham aaya
nazish-e-dahr na tha main to pas-e-murdan kyun
mahfil-e-ghair mein sau bar mera nam aaya
shama roi to wo kuchh der sahi turbat par
KHair koi to zamane mein mere kaam aaya
Source :
- Book : Deewan-e-Saqib (Pg. 180)
- Author : Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
-
Publication : Urdu Acadami U.P.
(1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.