kaT rahi hai buri-bhali meri
kaT rahī hai burī-bhalī merī
jaise auqāt ho yahī merī
dar-o-dīvār ke sivā ghar meñ
baat suntā nahīñ koī merī
pyaar do chaar din kā khel nahīñ
'umr barbād ho ga.ī merī
dab ga.iiñ aap kī tamanna meñ
ārzūeñ baḌī baḌī merī
thā baḌā shor sub.h aane kā
aañkh tak to nahīñ khulī merī
aap kyuuñ muñh bigāḌte haiñ 'sha'ūr'
mere hoñThoñ pe hai hañsī merī
kaT rahi hai buri-bhali meri
jaise auqat ho yahi meri
dar-o-diwar ke siwa ghar mein
baat sunta nahin koi meri
pyar do chaar din ka khel nahin
'umr barbaad ho gai meri
dab gain aap ki tamanna mein
aarzuen baDi baDi meri
tha baDa shor subh aane ka
aankh tak to nahin khuli meri
aap kyun munh bigaDte hain 'sha'ur'
mere honThon pe hai hansi meri
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 59)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.