kaTa na koh-e-alam humse kohkan ki tarah
kaTā na koh-e-alam ham se kohkan kī tarah
badal sakā na zamāna tire chalan kī tarah
hazār baar kiyā ḳhūn-e-ārzū ham ne
jabīn-e-dahr pe phir bhī rahe shikan kī tarah
savād-e-shab kī ye tanhā.iyāñ bhī Dastī haiñ
ye chāñdnī bhī nazar aatī hai kafan kī tarah
tamām shahr hai begāna log nā-mānūs
vatan meñ apne haiñ ham ek be-vatan kī tarah
ḳhayāl-e-dost na hasrat na aarzū na umiid
ye dil hai ab kisī ujḌe hue chaman kī tarah
sukūn-e-qalb to kyā hai qarār-e-jāñ bhī luTā
tumhārī yaad bhī aa.ī to rāhzan kī tarah
'ajab nahīñ ki sar-e-shahr-e-ārzū 'nādir'
hamārā dil bhī jale sham'-e-anjuman kī tarah
kaTa na koh-e-alam hum se kohkan ki tarah
badal saka na zamana tere chalan ki tarah
hazar bar kiya KHun-e-arzu hum ne
jabin-e-dahr pe phir bhi rahe shikan ki tarah
sawad-e-shab ki ye tanhaiyan bhi Dasti hain
ye chandni bhi nazar aati hai kafan ki tarah
tamam shahr hai begana log na-manus
watan mein apne hain hum ek be-watan ki tarah
KHayal-e-dost na hasrat na aarzu na umid
ye dil hai ab kisi ujDe hue chaman ki tarah
sukun-e-qalb to kya hai qarar-e-jaan bhi luTa
tumhaari yaad bhi aai to rahzan ki tarah
'ajab nahin ki sar-e-shahr-e-arzu 'nadir'
hamara dil bhi jale sham'-e-anjuman ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.