kaThin tanhaiyon se kaun khela main akela
kaThin tanhā.iyoñ se kaun khelā maiñ akelā
bharā ab bhī mire gaañv kā mela maiñ akelā
bichhaḌ kar tujh se maiñ shab bhar na soyā kaun royā
ba-juz mere ye dukh bhī kis ne jhelā maiñ akelā
ye be-āvāz banjar ban ke baasī ye udāsī
ye dahshat kā safar jañgal ye bela maiñ akelā
maiñ dekhūñ kab talak manzar suhāne sab purāne
vahī duniyā vahī dil kā jhamelā maiñ akelā
vo jis ke ḳhauf se sahrā sidhāre log saare
guzarne ko hai tūfāñ kā vo relā maiñ akelā
kaThin tanhaiyon se kaun khela main akela
bhara ab bhi mere ganw ka mela main akela
bichhaD kar tujh se main shab bhar na soya kaun roya
ba-juz mere ye dukh bhi kis ne jhela main akela
ye be-awaz banjar ban ke basi ye udasi
ye dahshat ka safar jangal ye bela main akela
main dekhun kab talak manzar suhane sab purane
wahi duniya wahi dil ka jhamela main akela
wo jis ke KHauf se sahra sidhaare log sare
guzarne ko hai tufan ka wo rela main akela
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.