kaTi patang ki manind Dolte ho tum
kaTī patañg kī mānind Dolte ho tum
mujhe vatan se nikāle ga.e lage ho tum
ye aur baat ki ab maslahat-shi.ār hue
qarīb mere bhī varna kabhī rahe ho tum
koī rafīq na manzil na koī raḳht-e-safar
ye kis ḳhumār meñ kis samt ko chale ho tum
fazā.eñ us kī tumheñ ab bhī yaad kartī haiñ
ki jis dayār meñ kuchh din rahe base ho tum
koī ummīd na va.ada na hausla koī
yaqīn hī nahīñ aatā chale ga.e ho tum
tumhāre ruup kā kundan batā rahā hai hameñ
kisī kī aag meñ ik umr tak jale ho tum
sukūñ kā ek bhī lamha nahīñ nasīb 'anvar'
mirā ḳhayāl hai mehvar se haT ga.e ho tum
kaTi patang ki manind Dolte ho tum
mujhe watan se nikale gae lage ho tum
ye aur baat ki ab maslahat-shiar hue
qarib mere bhi warna kabhi rahe ho tum
koi rafiq na manzil na koi raKHt-e-safar
ye kis KHumar mein kis samt ko chale ho tum
fazaen us ki tumhein ab bhi yaad karti hain
ki jis dayar mein kuchh din rahe base ho tum
koi ummid na wada na hausla koi
yaqin hi nahin aata chale gae ho tum
tumhaare rup ka kundan bata raha hai hamein
kisi ki aag mein ek umr tak jale ho tum
sukun ka ek bhi lamha nahin nasib 'anwar'
mera KHayal hai mehwar se haT gae ho tum
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.