kaTta hai waqt kaise bata dun janab ka
kaTtā hai vaqt kaise batā duuñ janāb kā
qissa sunāyā karte haiñ ahd-e-shabāb kā
ai maulā tū rahīm hai ye jāntā huuñ maiñ
rakkhā hai yuuñ hī pech hisāb-o-kitāb kā
tum aa ga.e ḳhushī milī aañsū Thahar ga.e
guzrā kaThin zamāna mire iztirāb kā
tāroñ ke darmiyān hai jo imtiyāz-e-chāñd
darja hai gulsitāñ meñ vahī to gulāb kā
malmal kā isti.māl bajā hai magar ye kyā
charchā hai anjuman meñ abhī tak naqāb kā
itnī ḳhatā thī 'nazr' tumhīñ sar-nigūñ na the
Dolā guzar rahā thā jo izzat-ma.āb kā
kaTta hai waqt kaise bata dun janab ka
qissa sunaya karte hain ahd-e-shabab ka
ai maula tu rahim hai ye jaanta hun main
rakkha hai yun hi pech hisab-o-kitab ka
tum aa gae KHushi mili aansu Thahar gae
guzra kaThin zamana mere iztirab ka
taron ke darmiyan hai jo imtiyaz-e-chand
darja hai gulsitan mein wahi to gulab ka
malmal ka istimal baja hai magar ye kya
charcha hai anjuman mein abhi tak naqab ka
itni KHata thi 'nazr' tumhin sar-nigun na the
Dola guzar raha tha jo izzat-maab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.