kaun ab jae tere pas shikayat le kar
kaun ab jaa.e tire paas shikāyat le kar
roz aate haiñ tire ḳhvāb mohabbat le kar
is qadar mujh se takalluf kī zarūrat kyā hai
maiñ agar tujh ko chūñgā to ijāzat le kar
husn be-parda huā aur tavaqqo ye hai
ishq dekhe use āñkhoñ meñ sharāfat le kar
daftar-e-ishq kā sarkārī mulāzim huuñ maiñ
lauT jā.ūñgā tirī diid kī rishvat le kar
apnā chehra thā kabhī jin kī tamannā 'yāsir'
ab vo kahte haiñ nikal jaao ye sūrat le kar
kaun ab jae tere pas shikayat le kar
roz aate hain tere KHwab mohabbat le kar
is qadar mujh se takalluf ki zarurat kya hai
main agar tujh ko chunga to ijazat le kar
husn be-parda hua aur tawaqqo ye hai
ishq dekhe use aankhon mein sharafat le kar
daftar-e-ishq ka sarkari mulazim hun main
lauT jaunga teri did ki rishwat le kar
apna chehra tha kabhi jin ki tamanna 'yasir'
ab wo kahte hain nikal jao ye surat le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.