kaun aisa hai yahan dil se mujhe yaad kare
kaun aisā hai yahāñ dil se mujhe yaad kare
vaqt thoḌā sā mire vāste barbād kare
ho ga.iiñ bastiyāñ vīrān yahāñ pal bhar meñ
koī to aa.e jo phir se inheñ ābād kare
pā-ba-zanjīr koī daar pe mansūr nahīñ
haq kī bātoñ pe bhalā kaun yahāñ saad kare
kaisā pindār hai dil qaid haiñ ḳhushiyāñ jis meñ
in parindoñ ko hī āzād ye sayyād kare
murda jismoñ meñ muqayyad haiñ taḌaptī rūheñ
koī zindān-e-nihāñ se unheñ āzād kare
jis kī buniyād mohabbat kī ho zāmin 'sumbul'
aisā ik shahr yahāñ koī to ābād kare
kaun aisa hai yahan dil se mujhe yaad kare
waqt thoDa sa mere waste barbaad kare
ho gain bastiyan viran yahan pal bhar mein
koi to aae jo phir se inhen aabaad kare
pa-ba-zanjir koi dar pe mansur nahin
haq ki baaton pe bhala kaun yahan sad kare
kaisa pindar hai dil qaid hain KHushiyan jis mein
in parindon ko hi aazad ye sayyaad kare
murda jismon mein muqayyad hain taDapti ruhen
koi zindan-e-nihan se unhen aazad kare
jis ki buniyaad mohabbat ki ho zamin 'sumbul'
aisa ek shahr yahan koi to aabaad kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.