kaun dil hai mere allah jo nashad nahin
kaun dil hai mire allāh jo nāshād nahīñ
kaun ghar hai mire allāh jo barbād nahīñ
nāznīñ jaan bhī leñ to koī bedād nahīñ
chūḌiyāñ haath meñ haiñ ḳhanjar-e-faulād nahīñ
ai nasīm-e-saharī saath liye jā sū-e-bām
nafas-e-radd hai naala nahīñ fariyād nahīñ
sabz-bāġh aap dikhā.eñ na ab āzādī ke
aap ke baaġh meñ to sarv bhī āzād nahīñ
chup se haiñ kuchh mire āġhosh meñ vo hashr ke din
ye vahī haiñ jinheñ paimān-e-vafā yaad nahīñ
dekhte rañg-e-hinā jaate haiñ maqtal kī taraf
haath meñ teġh nahīñ ḳhanjar-e-faulād nahīñ
hai tirī jeb par aaj aañkh nasheman ke evaz
bāġhbāñ ye to koī chor hai sayyād nahīñ
shor-e-qulqul meñ gum āvāz-e-azāñ hai ai shaiḳh
ye bahut ḳhuub kahī mai-kada ābād nahīñ
ek ik phuul ko ek ek kalī ko dekhā
haar meñ un ke hamārā dil-e-nāshād nahīñ
niklī haiñ hashr meñ duniyā kī purānī bāteñ
maiñ to kyā mere farishtoñ ko bhī ab yaad nahīñ
na girī barq magar aap gire ġhash khā kar
ye to a hazrat-e-mūsā koī uftād nahīñ
jis se aatā thā nasheman kā qafas meñ kuchh lutf
tere qurbān tirī aañkh vo sayyād nahīñ
dil se niklī hai ye dil hī meñ rahegī zālim
jā ke dīvār se Takrā.e vo fariyād nahīñ
kaam kartā thā jo ai charḳh tire parde meñ
vo nahīñ kaam meñ to lazzat-e-bedād nahīñ
ye bahut hai rahe dil par jo hukūmat qaa.em
aaj qabze meñ agar basra-o-baġhdād nahīñ
bū-e-ḳhūñ dete haiñ shīrīñ tire mehñdī lage haath
haath meñ laale ke ḳhūn-e-sar-e-farhād nahīñ
had se aage na baḌhe dekhiye mizhgān-e-darāz
chheḌne ke liye kam nashtar-e-fassād nahīñ
sho.arā aap ko bhī ḳhuub banāte haiñ 'riyāz'
sab ye kahte haiñ koī aap sā ustād nahīñ
kaun dil hai mere allah jo nashad nahin
kaun ghar hai mere allah jo barbaad nahin
naznin jaan bhi len to koi bedad nahin
chuDiyan hath mein hain KHanjar-e-faulad nahin
ai nasim-e-sahari sath liye ja su-e-baam
nafas-e-radd hai nala nahin fariyaad nahin
sabz-bagh aap dikhaen na ab aazadi ke
aap ke bagh mein to sarw bhi aazad nahin
chup se hain kuchh mere aaghosh mein wo hashr ke din
ye wahi hain jinhen paiman-e-wafa yaad nahin
dekhte rang-e-hina jate hain maqtal ki taraf
hath mein tegh nahin KHanjar-e-faulad nahin
hai teri jeb par aaj aankh nasheman ke ewaz
baghban ye to koi chor hai sayyaad nahin
shor-e-qulqul mein gum aawaz-e-azan hai ai shaiKH
ye bahut KHub kahi mai-kada aabaad nahin
ek ek phul ko ek ek kali ko dekha
haar mein un ke hamara dil-e-nashad nahin
nikli hain hashr mein duniya ki purani baaten
main to kya mere farishton ko bhi ab yaad nahin
na giri barq magar aap gire ghash kha kar
ye to a hazrat-e-musa koi uftad nahin
jis se aata tha nasheman ka qafas mein kuchh lutf
tere qurban teri aankh wo sayyaad nahin
dil se nikli hai ye dil hi mein rahegi zalim
ja ke diwar se Takrae wo fariyaad nahin
kaam karta tha jo ai charKH tere parde mein
wo nahin kaam mein to lazzat-e-bedad nahin
ye bahut hai rahe dil par jo hukumat qaem
aaj qabze mein agar basra-o-baghdad nahin
bu-e-KHun dete hain shirin tere mehndi lage hath
hath mein lale ke KHun-e-sar-e-farhad nahin
had se aage na baDhe dekhiye mizhgan-e-daraaz
chheDne ke liye kam nashtar-e-fassad nahin
shoara aap ko bhi KHub banate hain 'riyaz'
sab ye kahte hain koi aap sa ustad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.