kaun hai jis ka sara dukh hai
kaun hai jis kā saarā dukh hai
dukh bhī jis kā chāra dukh hai
mīThī bāteñ kartā hai vo
aur āñkhoñ meñ khārā dukh hai
maiñ aurat huuñ mujh se maliye
merā miTTī gaarā dukh hai
ishq meñ dukh hī chāra samjhā
aur vaj.h bechāra dukh hai
dekh ḳhudā ab tere hote
merā sirf sahārā dukh hai
ek kināra tum ho ya.anī
merā ek kināra dukh hai
hañste rahte haiñ ham donoñ
maiñ huuñ dukh kā maarā dukh hai
kaun hai jis ka sara dukh hai
dukh bhi jis ka chaara dukh hai
miThi baaten karta hai wo
aur aankhon mein khaara dukh hai
main aurat hun mujh se maliye
mera miTTi gara dukh hai
ishq mein dukh hi chaara samjha
aur wajh bechaara dukh hai
dekh KHuda ab tere hote
mera sirf sahaara dukh hai
ek kinara tum ho yani
mera ek kinara dukh hai
hanste rahte hain hum donon
main hun dukh ka mara dukh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.