kaun hai kis ka KHaridar chalo chhoDo bhi
kaun hai kis kā ḳharīdār chalo chhoḌo bhī
haiñ sabhī raunaq-e-bāzār chalo chhoḌo bhī
koī zāhid hai na mai-ḳhvār chalo chhoḌo bhī
haiñ sabhī sāhab-e-kirdār chalo chhoḌo bhī
farq kyā mulzim-o-munsif meñ batāyā jaa.e
hai ye be-kār kī takrār chalo chhoḌo bhī
kuchh rusūmāt-e-kuhan haiñ ki nibāheñ kab tak
unsiyat muḳhlisī kirdār chalo chhoḌo bhī
laakh ab aap kiye jaa.eñ masīhā.ī to kyā
hai vahī dard kī jhankār chalo chhoḌo bhī
dil kī rāhoñ pe bhalā tum bhī chaloge kab tak
ḳhaar hī ḳhaar haiñ 'asrār' chalo chhoḌo bhī
kaun hai kis ka KHaridar chalo chhoDo bhi
hain sabhi raunaq-e-bazar chalo chhoDo bhi
koi zahid hai na mai-KHwar chalo chhoDo bhi
hain sabhi sahab-e-kirdar chalo chhoDo bhi
farq kya mulzim-o-munsif mein bataya jae
hai ye be-kar ki takrar chalo chhoDo bhi
kuchh rusumat-e-kuhan hain ki nibahen kab tak
unsiyat muKHlisi kirdar chalo chhoDo bhi
lakh ab aap kiye jaen masihai to kya
hai wahi dard ki jhankar chalo chhoDo bhi
dil ki rahon pe bhala tum bhi chaloge kab tak
KHar hi KHar hain 'asrar' chalo chhoDo bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.