kaun hai mera KHaridar nahin dekhta main
kaun hai merā ḳharīdār nahīñ dekhtā maiñ
dhuup meñ sāya-e-dīvār nahīñ dekhtā maiñ
ḳhvāb palkoñ pe chale aate haiñ aañsū ban kar
is liye tujh ko lagātār nahīñ dekhtā maiñ
terā is baar mujhe dekhnā bantā hai dost
itnī ummīd se har baar nahīñ dekhtā maiñ
kab talak tujh ko yūñhī dekhte rahnā hogā
zindagī jā tujhe is baar nahīñ dekhtā maiñ
vo koī aur haiñ jo hasb-o-nasab dekhte haiñ
maiñ mohabbat huuñ mire yaar nahīñ dekhtā maiñ
haa.e vo log jo bas dekhte rahte haiñ mujhe
jin kī jānib kabhī ik baar nahīñ dekhtā maiñ
ġhaar se niklī huī raushnī pursa to kar
aa mujhe dekh huuñ bīmār nahīñ dekhtā maiñ
kaun hai mera KHaridar nahin dekhta main
dhup mein saya-e-diwar nahin dekhta main
KHwab palkon pe chale aate hain aansu ban kar
is liye tujh ko lagatar nahin dekhta main
tera is bar mujhe dekhna banta hai dost
itni ummid se har bar nahin dekhta main
kab talak tujh ko yunhi dekhte rahna hoga
zindagi ja tujhe is bar nahin dekhta main
wo koi aur hain jo hasb-o-nasab dekhte hain
main mohabbat hun mere yar nahin dekhta main
hae wo log jo bas dekhte rahte hain mujhe
jin ki jaanib kabhi ek bar nahin dekhta main
ghaar se nikli hui raushni pursa to kar
aa mujhe dekh hun bimar nahin dekhta main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.