kaun hai mujh mein jo marta hi chala jata hai
kaun hai mujh meñ jo martā hī chalā jaatā hai
ruuh tak dard utartā hī chalā jaatā hai
koī manhūs havā hai mire ghar ke andar
jo sameTūñ vo bikhartā hī chalā jaatā hai
marne vaale haiñ ki jiite hī chale jaate haiñ
jiine vaalā hai ki martā hī chalā jaatā hai
zaḳhm sahme hue chup-chāp paḌe rahte haiñ
dard be-ḳhauf ubhartā hī chalā jaatā hai
maiñ ne koshish to ka.ī baar kī rokūñ us ko
phir bhī ye vaqt guzartā hī chalā jaatā hai
jis ke bharne se maiñ be-rang huī jaatī huuñ
mujh meñ kyoñ rang vo bhartā hī chalā jaatā hai
kaisā pāgal hai mirā dil ki samajhtā hī nahīñ
ishq kartā hai to kartā hī chalā jaatā hai
kaun hai mujh mein jo marta hi chala jata hai
ruh tak dard utarta hi chala jata hai
koi manhus hawa hai mere ghar ke andar
jo sameTun wo bikharta hi chala jata hai
marne wale hain ki jite hi chale jate hain
jine wala hai ki marta hi chala jata hai
zaKHm sahme hue chup-chap paDe rahte hain
dard be-KHauf ubharta hi chala jata hai
main ne koshish to kai bar ki rokun us ko
phir bhi ye waqt guzarta hi chala jata hai
jis ke bharne se main be-rang hui jati hun
mujh mein kyon rang wo bharta hi chala jata hai
kaisa pagal hai mera dil ki samajhta hi nahin
ishq karta hai to karta hi chala jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.