kaun hai raja kaun hai rani
kaun hai raaja kaun hai raanī
jhūTī hai sab prem kahānī
kyā kahiye ab prem kahānī
haa.e zamāna haa.e javānī
husn-o-javānī donoñ faanī
ek fasāna ek kahānī
terī haqīqat raaz hī ab tak
kis ne apnī zaat hī jaanī
kyā hai bātin kyā hai zāhir
kaun hai baaqī kaun hai faanī
amrit-ras haiñ un kī bāteñ
madirā kā madh un kī javānī
muddat guzrī dil ko luTā.e
kyā chheḌeñ ab baat purānī
murda-dil meñ kyoñ aas aa.e
kyā deñ sūkhe dhaan ko paanī
jaisī guzrī achchhī guzrī
kyā dohrā.eñ raam kahānī
de hī diyā 'nāshād' unheñ dil
tum ne kisī kī ek na maanī
kaun hai raja kaun hai rani
jhuTi hai sab prem kahani
kya kahiye ab prem kahani
hae zamana hae jawani
husn-o-jawani donon fani
ek fasana ek kahani
teri haqiqat raaz hi ab tak
kis ne apni zat hi jaani
kya hai baatin kya hai zahir
kaun hai baqi kaun hai fani
amrit-ras hain un ki baaten
madira ka madh un ki jawani
muddat guzri dil ko luTae
kya chheDen ab baat purani
murda-dil mein kyon aas aae
kya den sukhe dhan ko pani
jaisi guzri achchhi guzri
kya dohraen ram kahani
de hi diya 'nashad' unhen dil
tum ne kisi ki ek na mani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.