kaun hain jo ghamnak nahin hain
kaun haiñ jo ġhamnāk nahīñ haiñ
ham hī garebāñ-chāk nahīñ haiñ
shor na kar ai sail-e-havādis
ham bhī ḳhas-o-ḳhāshāk nahīñ haiñ
shān-e-ḳhudā nāzāñ haiñ vo bhī
jin ke dāman paak nahīñ haiñ
ḳhuun meñ tar haiñ dāman-o-ḳhanjar
phir bhī vo saffāk nahīñ hai
ai 'jarrār' sukūñ ke sāmān
aaj tah-e-aflāk nahīñ haiñ
kaun hain jo ghamnak nahin hain
hum hi gareban-chaak nahin hain
shor na kar ai sail-e-hawadis
hum bhi KHas-o-KHashak nahin hain
shan-e-KHuda nazan hain wo bhi
jin ke daman pak nahin hain
KHun mein tar hain daman-o-KHanjar
phir bhi wo saffak nahin hai
ai 'jarrar' sukun ke saman
aaj tah-e-aflak nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.