kaun humse siwa samajhta hai
kaun ham se sivā samajhtā hai
kis se pūchheñ ki zindagī kyā hai
aaj kuchh der ro liye ham bhī
aaj kuchh dil kā bojh halkā hai
ab na aa.egā vo ḳhabar thī magar
rāsta us kā phir bhī dekhā hai
ab marāsim meñ vo tapāk nahīñ
milnā-julnā ye chañd din kā hai
aur to yaad hai use sab kuchh
vo magar ḳhud ko bhuul baiThā hai
ishq jab dil kā ham-safar ho jaa.e
rāsta ruḳh badalne lagtā hai
be-tamannā guzār deñ 'dānish'
ab hamārī yahī tamanna hai
kaun hum se siwa samajhta hai
kis se puchhen ki zindagi kya hai
aaj kuchh der ro liye hum bhi
aaj kuchh dil ka bojh halka hai
ab na aaega wo KHabar thi magar
rasta us ka phir bhi dekha hai
ab marasim mein wo tapak nahin
milna-julna ye chand din ka hai
aur to yaad hai use sab kuchh
wo magar KHud ko bhul baiTha hai
ishq jab dil ka ham-safar ho jae
rasta ruKH badalne lagta hai
be-tamanna guzar den 'danish'
ab hamari yahi tamanna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.