kaun is bagh se ai baad-e-saba jata hai
kaun is bagh se ai baad-e-saba jata hai
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
kaun is baaġh se ai bād-e-sabā jaatā hai
rañg ruḳhsār se phūloñ ke uḌā jaatā hai
sho.ala-e-sham.a meñ garmī ye kahāñ se aa.ī
is kī garmī se to fānūs jalā jaatā hai
dil ke dhaḌkoñ kā ye aalam hai ki be-minnat-e-dast
purze ho ho ke garebān uḌā jaatā hai
rabt pahle jo tire yaad kabhī kartā huuñ
baiThe baiThe mujhe afsos sā aa jaatā hai
pūchhtā koī nahīñ kab se tire kūche meñ
dil kisī kā hai ki pāmāl huā jaatā hai
ga.e ve din ki tamannā hameñ ik ashk kī thī
ab to in āñkhoñ se dariyā sā bahā jaatā hai
shaam ke vaqt to koThe pe jo aatā hai kabhī
dekh kar tujh ko ye ḳhurshed chhupā jaatā hai
be-adab ke ta.iiñ mutlaq nahīñ sohbat kā shu.ūr
shāna kitnā tirī zulfoñ se lagā jaatā hai
yuuñ qadam rakh na zamīñ par tirī raftār se aah
dil kisī kā hai ki maaTī meñ milā jaatā hai
'mus.hafī' ishq kī vaadī meñ guzar hai kis kā
bhūlā-bhaTkā koī īdhar ko bhī aa jaatā hai
kaun is bagh se ai baad-e-saba jata hai
rang ruKHsar se phulon ke uDa jata hai
shoala-e-shama mein garmi ye kahan se aai
is ki garmi se to fanus jala jata hai
dil ke dhaDkon ka ye aalam hai ki be-minnat-e-dast
purze ho ho ke gareban uDa jata hai
rabt pahle jo tere yaad kabhi karta hun
baiThe baiThe mujhe afsos sa aa jata hai
puchhta koi nahin kab se tere kuche mein
dil kisi ka hai ki pamal hua jata hai
gae we din ki tamanna hamein ek ashk ki thi
ab to in aankhon se dariya sa baha jata hai
sham ke waqt to koThe pe jo aata hai kabhi
dekh kar tujh ko ye KHurshed chhupa jata hai
be-adab ke tain mutlaq nahin sohbat ka shuur
shana kitna teri zulfon se laga jata hai
yun qadam rakh na zamin par teri raftar se aah
dil kisi ka hai ki maTi mein mila jata hai
'mushafi' ishq ki wadi mein guzar hai kis ka
bhula-bhaTka koi idhar ko bhi aa jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.