kaun jaane hisar miTTi ka
kaun jaane hisār miTTī kā
āsmāñ hai ġhubār miTTī kā
koī duniyā nikāl miTTī se
koī parda utaar miTTī kā
aag jaltī hai raakh hotī hai
kaun sahtā hai vaar miTTī kā
pāniyoñ kā vujūd miTTī se
aag meñ hai sharār miTTī kā
sirf miTTī kī aabrū ke liye
ban rahā hai mazār miTTī kā
aur miTTī kī kyā fazīlat ho
maiñ bhī miTTī kā yaar miTTī kā
aap jis ko pahāḌ kahte haiñ
hai zarā sā ubhār miTTī kā
maañ kā qarza utārnā hai tujhe
pahle qarza utaar miTTī kā
kaun jaane hisar miTTi ka
aasman hai ghubar miTTi ka
koi duniya nikal miTTi se
koi parda utar miTTi ka
aag jalti hai rakh hoti hai
kaun sahta hai war miTTi ka
paniyon ka wujud miTTi se
aag mein hai sharar miTTi ka
sirf miTTi ki aabru ke liye
ban raha hai mazar miTTi ka
aur miTTi ki kya fazilat ho
main bhi miTTi ka yar miTTi ka
aap jis ko pahaD kahte hain
hai zara sa ubhaar miTTi ka
man ka qarza utarna hai tujhe
pahle qarza utar miTTi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.