kaun kahta hai gum hua partaw
kaun kahtā hai gum huā partav
lahza lahza hai aa.ina partav
har taraf chhā gayā hai ik jalva
jaane kis kā ye paḌ gayā partav
naqsh palkoñ pe jab huā raushan
apnī āñkhoñ meñ bhar liyā partav
mere andar nihāñ hai aks mirā
aa.ine meñ hai aap kā partav
Dar rahā hai 'zakī' añdheroñ se
kho na jaa.e kahīñ tirā partav
kaun kahta hai gum hua partaw
lahza lahza hai aaina partaw
har taraf chha gaya hai ek jalwa
jaane kis ka ye paD gaya partaw
naqsh palkon pe jab hua raushan
apni aankhon mein bhar liya partaw
mere andar nihan hai aks mera
aaine mein hai aap ka partaw
Dar raha hai 'zaki' andheron se
kho na jae kahin tera partaw
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.