kaun kahta hai jafa karte ho tum
kaun kahtā hai jafā karte ho tum
shart-e-māshūqī vafā karte ho tum
muskurā kar moḌ lete ho bhaveñ
ḳhuub adā kā haq adā karte ho tum
ham shahīdoñ par sitam jiite raho
ḳhuub karte ho bajā karte ho tum
surma.ī āñkhoñ kuuñ kyā surme siiñ kaam
nāhaq un par tūtiyā karte ho tum
har par-e-bulbul kuuñ ai ḳhūnīñ-nigāh
ḳhūn-e-gul siiñ karbalā karte ho tum
pīste ho dil kuuñ jyuuñ barg-e-hinā
haat ḳhuuñ ālūda kyā karte ho tum
ḳhaak karte ho jalā jān-e-'sirāj'
aur kaho kyā kīmiyā karte ho tum
kaun kahta hai jafa karte ho tum
shart-e-mashuqi wafa karte ho tum
muskura kar moD lete ho bhawen
KHub ada ka haq ada karte ho tum
hum shahidon par sitam jite raho
KHub karte ho baja karte ho tum
surmai aankhon kun kya surme sin kaam
nahaq un par tutiya karte ho tum
har par-e-bulbul kun ai KHunin-nigah
KHun-e-gul sin karbala karte ho tum
piste ho dil kun jyun barg-e-hina
hat KHun aaluda kya karte ho tum
KHak karte ho jala jaan-e-'siraj'
aur kaho kya kimiya karte ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.