kaun kahta hai ki marna mera achchha na hua
kaun kahtā hai ki marnā mirā achchhā na huā
fikr darmāñ na huī rañj mudāvā na huā
vaah is naale pe aur itnī adū ko nāzish
bazm meñ aur to kyā hashr bhī barpā na huā
sair-e-gulshan se rahe shaad va-lekin afsos
ab ke ma.alūm kuchh ahvāl qafas kā na huā
so ga.e sunte hī sunte vo dil-e-zār kā haal
jab ko ham samjhe the afsūñ vahī afsāna huā
rabt kuchh dāġh-o-jigar kā to hai chaspāñ 'āshiq'
varna is daur meñ koī bhī kisī kā na huā
kaun kahta hai ki marna mera achchha na hua
fikr darman na hui ranj mudawa na hua
wah is nale pe aur itni adu ko nazish
bazm mein aur to kya hashr bhi barpa na hua
sair-e-gulshan se rahe shad wa-lekin afsos
ab ke malum kuchh ahwal qafas ka na hua
so gae sunte hi sunte wo dil-e-zar ka haal
jab ko hum samjhe the afsun wahi afsana hua
rabt kuchh dagh-o-jigar ka to hai chaspan 'ashiq'
warna is daur mein koi bhi kisi ka na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.