kaun kahta hai ki tum socho nahin
kaun kahtā hai ki tum socho nahīñ
soch meñ itne magar Duubo nahīñ
chup haiñ dīvāreñ to kyā bahrī bhī haiñ
sab hama-tan-gosh haiñ bolo nahīñ
phuul to kyā ḳhaar bhī manzūr haiñ
be-ruḳhī se yuuñ magar pheñko nahīñ
apnī hī sūrat se tum Dar jāoge
aa.ine meñ āj-kal jhāñko nahīñ
aaj kuchh tum ko ziyāda ho ga.ī
jaao so jaao miyāñ uljho nahīñ
fāsla vo hai ki baḌhtā jā.egā
lams ke ḳhvāboñ meñ yuuñ bhaTko nahīñ
maiñ zamīñ kā dard huuñ yaaro mujhe
āsmānoñ kā pata pūchho nahīñ
kaun kahta hai ki tum socho nahin
soch mein itne magar Dubo nahin
chup hain diwaren to kya bahri bhi hain
sab hama-tan-gosh hain bolo nahin
phul to kya KHar bhi manzur hain
be-ruKHi se yun magar phenko nahin
apni hi surat se tum Dar jaoge
aaine mein aaj-kal jhanko nahin
aaj kuchh tum ko ziyaada ho gai
jao so jao miyan uljho nahin
fasla wo hai ki baDhta jaega
lams ke KHwabon mein yun bhaTko nahin
main zamin ka dard hun yaro mujhe
aasmanon ka pata puchho nahin
- Book : Ehsas Dar Ehsas (Pg. 38)
- Author : Amar Singh Figar
- Publication : Modern Publishing House (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.