kaun kahta hai main adhuri hun
kaun kahtā hai maiñ adhūrī huuñ
maiñ to har zāviye se puurī huuñ
biivī beTī bahū bahan bhaa.ī
koī rishta ho maiñ zarūrī huuñ
maiñ huuñ tere shu.ūr kā hissa
terī sochoñ meñ lā-shu.ūrī huuñ
mujh se tahzīb aur tamaddun hai
nyāz-mandī huuñ jī-huzūrī huuñ
ḳhaak huuñ aur numū kā baa.is huuñ
'roz' naarī huuñ aur na nuurī huuñ
kaun kahta hai main adhuri hun
main to har zawiye se puri hun
biwi beTi bahu bahan bhai
koi rishta ho main zaruri hun
main hun tere shuur ka hissa
teri sochon mein la-shuuri hun
mujh se tahzib aur tamaddun hai
nyaz-mandi hun ji-huzuri hun
KHak hun aur numu ka bais hun
'roz' nari hun aur na nuri hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.