kaun kahta hai mohabbat ki zaban hoti hai
kaun kahtā hai mohabbat kī zabāñ hotī hai
ye haqīqat to nigāhoñ se bayāñ hotī hai
vo na aa.e to satātī hai ḳhalish sī dil ko
vo jo aa.e to ḳhalish aur javāñ hotī hai
ruuh ko shaad kare dil ko jo pur-nūr kare
har nazāre meñ ye tanvīr kahāñ hotī hai
zabt sailāb-e-mohabbat ko kahāñ tak roke
dil meñ jo baat ho āñkhoñ se ayaañ hotī hai
zindagī ek sulagtī sī chitā hai 'sāhir'
sho.ala bantī hai na ye bujh ke dhuāñ hotī hai
kaun kahta hai mohabbat ki zaban hoti hai
ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai
wo na aae to satati hai KHalish si dil ko
wo jo aae to KHalish aur jawan hoti hai
ruh ko shad kare dil ko jo pur-nur kare
har nazare mein ye tanwir kahan hoti hai
zabt sailab-e-mohabbat ko kahan tak roke
dil mein jo baat ho aankhon se ayan hoti hai
zindagi ek sulagti si chita hai 'sahir'
shoala banti hai na ye bujh ke dhuan hoti hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 222)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.