kaun kis ko yahan dagha dega
kaun kis ko yahāñ daġhā degā
vaqt sab kuchh hameñ batā degā
baap beTā judā hue jis din
ghar tabāhī kā phir patā degā
yaad apnoñ kī aa.egī us pal
jab koī be-sabab qazā degā
apne karmoñ kā lenā denā hai
kaun kis ko yahāñ sazā degā
kaam koī to nek kar 'sāġhar'
dene vaalā tujhe sila degā
kaun kis ko yahan dagha dega
waqt sab kuchh hamein bata dega
bap beTa juda hue jis din
ghar tabahi ka phir pata dega
yaad apnon ki aaegi us pal
jab koi be-sabab qaza dega
apne karmon ka lena dena hai
kaun kis ko yahan saza dega
kaam koi to nek kar 'saghar'
dene wala tujhe sila dega
- Book : احتزاز غزل (Pg. 19)
- Author : ساغر سیالکوٹی
- Publication : ساہتیہ کلش پبلی کیشن (2004)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.