kaun sa rang iKHtiyar karen?
kaun sā rañg iḳhtiyār kareñ?
ḳhud ko chāheñ ki tujh se pyaar kareñ?
bhiiḌ meñ jo bichhaḌ ga.e ham se
shaam Dhalne kā intizār kareñ
pattharoñ se mo.āmla Thahrā
sar-kashī kyuuñ na iḳhtiyār kareñ?
raushnī kā yahī taqāzā hai
mere saa.e mujhī pe vaar kareñ
gum hai tanhā.iyoñ meñ shahr kā shahr
kaise in jañgaloñ ko paar kareñ
jab haqīqat bhī ḳhvāb ho 'shabnam'
kyuuñ na ḳhvāboñ kā e'tibār kareñ
kaun sa rang iKHtiyar karen?
KHud ko chahen ki tujh se pyar karen?
bhiD mein jo bichhaD gae hum se
sham Dhalne ka intizar karen
pattharon se moamla Thahra
sar-kashi kyun na iKHtiyar karen?
raushni ka yahi taqaza hai
mere sae mujhi pe war karen
gum hai tanhaiyon mein shahr ka shahr
kaise in jangalon ko par karen
jab haqiqat bhi KHwab ho 'shabnam'
kyun na KHwabon ka e'tibar karen
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 403)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.