Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun sa tair-e-gum-gashta use yaad aaya

Dagh Dehlvi

kaun sa tair-e-gum-gashta use yaad aaya

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    kaun tā.ir-e-gum-gashta use yaad aayā

    dekhtā bhāltā har shāḳh ko sayyād aayā

    mere qaabū meñ na pahroñ dil-e-nāshād aayā

    vo mirā bhūlne vaalā jo mujhe yaad aayā

    koī bhūlā huā andāz-e-sitam yaad aayā

    ki tabassum tujhe zālim dam-e-be-dād aayā

    laa.e haiñ log janāze tarah mahshar meñ

    kis musībat se tirā kushta-e-bedād aayā

    jazb-e-vahshat tire qurbān tirā kyā kahnā

    khiñch ke rag rag meñ mire nashtar-e-fassād aayā

    us ke jalve ko ġharaz kaun-o-makāñ se kyā thā

    daad lene ke liye husn-e-ḳhudā-dād aayā

    bastiyoñ se yahī āvāz chalī aatī hai

    jo kiyā ne vo aage tire farhād aayā

    dil-e-vīrāñ se raqīboñ ne murādeñ pā.īñ

    kaam kis kis ke mirā ḳhirman-e-barbād aayā

    ishq ke aate muñh par mire phūlī hai basant

    ho gayā zard ye shāgird jab ustād aayā

    ho gayā farz mujhe shauq daftar likhnā

    jab mire haath koī ḳhāma-e-faulād aayā

    iid hai qatl mirā ahl-e-tamāshā ke liye

    sab gale milne lage jab ki vo jallād aayā

    chain karte haiñ vahāñ ranj uThāne vaale

    kaam uqbā meñ hamārā dil-e-nāshād aayā

    shab-e-vasl mo.azzin ne azaañ pichhlī raat

    haa.e kam-baḳht ko kis vaqt ḳhudā yaad aayā

    mere naale ne sunā.ī hai kharī kis kis ko

    muñh farishtoñ pe ye gustāḳh ye āzād aayā

    ġham-e-jāved ne mujh ko mubārakbādī

    jab sunā ye ki unheñ sheva-e-bedād aayā

    maiñ tamannā-e-shahādat mazā bhuul gayā

    aaj is shauq se armān se jallād aayā

    shādiyāna jo diyā naala o shevan ne diyā

    jab mulāqāt ko nāshād nāshād aayā

    lījiye suniye ab afsāna-e-furqat mujh se

    aap ne yaad dilāyā to mujhe yaad aayā

    aap bazm meñ sab kuchh hai magar 'dāġh' nahīñ

    ham ko vo ḳhāna-ḳharāb aaj bahut yaad aayā

    kaun sa tair-e-gum-gashta use yaad aaya

    dekhta bhaalta har shaKH ko sayyaad aaya

    mere qabu mein na pahron dil-e-nashad aaya

    wo mera bhulne wala jo mujhe yaad aaya

    koi bhula hua andaz-e-sitam yaad aaya

    ki tabassum tujhe zalim dam-e-be-dad aaya

    lae hain log janaze ki tarah mahshar mein

    kis musibat se tera kushta-e-bedad aaya

    jazb-e-wahshat tere qurban tera kya kahna

    khinch ke rag rag mein mere nashtar-e-fassad aaya

    us ke jalwe ko gharaz kaun-o-makan se kya tha

    dad lene ke liye husn-e-KHuda-dad aaya

    bastiyon se yahi aawaz chali aati hai

    jo kiya tu ne wo aage tere farhad aaya

    dil-e-viran se raqibon ne muraden pain

    kaam kis kis ke mera KHirman-e-barbaad aaya

    ishq ke aate hi munh par mere phuli hai basant

    ho gaya zard ye shagird jab ustad aaya

    ho gaya farz mujhe shauq ka daftar likhna

    jab mere hath koi KHama-e-faulad aaya

    id hai qatl mera ahl-e-tamasha ke liye

    sab gale milne lage jab ki wo jallad aaya

    chain karte hain wahan ranj uThane wale

    kaam uqba mein hamara dil-e-nashad aaya

    di shab-e-wasl moazzin ne azan pichhli raat

    hae kam-baKHt ko kis waqt KHuda yaad aaya

    mere nale ne sunai hai khari kis kis ko

    munh farishton pe ye gustaKH ye aazad aaya

    gham-e-jawed ne di mujh ko mubarakbaadi

    jab suna ye ki unhen shewa-e-bedad aaya

    main tamanna-e-shahadat ka maza bhul gaya

    aaj is shauq se arman se jallad aaya

    shadiyana jo diya nala o shewan ne diya

    jab mulaqat ko nashad ki nashad aaya

    lijiye suniye ab afsana-e-furqat mujh se

    aap ne yaad dilaya to mujhe yaad aaya

    aap ki bazm mein sab kuchh hai magar 'dagh' nahin

    hum ko wo KHana-KHarab aaj bahut yaad aaya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mehdi Hasan

    Mehdi Hasan

    Mukhtar Begum

    Mukhtar Begum

    Mukhtar Begum

    Mukhtar Begum

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now