Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun samjhe ishq ki dushwariyan

Bismil Saeedi

kaun samjhe ishq ki dushwariyan

Bismil Saeedi

MORE BYBismil Saeedi

    kaun samjhe 'ishq dushvāriyāñ

    ik junūñ aur laakh zimmedāriyāñ

    ehtimām-e-zindagi-e-ishq dekh

    roz mar jaane haiñ tayyāriyāñ

    'ishq ġham vo bhī tere 'ishq

    kaun kar saktā mirī ġham-ḳhvāriyāñ

    be-ḳhūdī-e-ishq jaise ġham niind

    ġham nīñdeñ ruuh bedāriyāñ

    'ishq bhī hai kis qadar bar-ḳhud-ġhalat

    un bazm-e-nāz aur ḳhuddāriyāñ

    is mohabbat us javānī qasam

    phir na ye nīñdeñ na ye bedāriyāñ

    ye niyāz-e-ārzūmandī na dekh

    aur kuchh haiñ 'ishq ḳhuddāriyāñ

    iḳhtilāj-e-qalb ke daure nahīñ

    'ishq 'bismil' haiñ dil-āzāriyāñ

    kaun samjhe 'ishq ki dushwariyan

    ek junun aur lakh zimmedariyan

    ehtimam-e-zindagi-e-ishq dekh

    roz mar jaane ki hain tayyariyan

    'ishq ka gham wo bhi tere 'ishq ka

    kaun kar sakta meri gham-KHwariyan

    be-KHudi-e-ishq jaise gham ki nind

    gham ki ninden ruh ki bedariyan

    'ishq bhi hai kis qadar bar-KHud-ghalat

    un ki bazm-e-naz aur KHuddariyan

    is mohabbat us jawani ki qasam

    phir na ye ninden na ye bedariyan

    ye niyaz-e-arzumandi na dekh

    aur kuchh hain 'ishq ki KHuddariyan

    iKHtilaj-e-qalb ke daure nahin

    'ishq ki 'bismil' hain dil-azariyan

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kaun samjhe ishq ki dushwariyan Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now