Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun si shaKH ka patta tha hara bhul gaya

Nafas Ambalvi

kaun si shaKH ka patta tha hara bhul gaya

Nafas Ambalvi

MORE BYNafas Ambalvi

    kaun shāḳh patta thā harā bhuul gayā

    peḌ se TuuT ke maiñ apnā pata bhuul gayā

    maiñ koī va.ada-farāmosh nahīñ huuñ phir bhī

    mujh pe ilzām hai maiñ apnā kahā bhuul gayā

    apne bachchoñ ke khilaune to use yaad rahe

    ghar meñ bīmār paḌī maañ davā bhuul gayā

    kar to diiñ maiñ ne charāġhoñ qatāreñ raushan

    hai zamāne magar tez havā bhuul gayā

    ḳhauf-e-dozaḳh se Darātā rahā vaa.iz mujh ko

    aur ḳhud apne gunāhoñ ki sazā bhuul gayā

    tujh se kuchh kaam thā lekin tire ghar ke aage

    ab khaḌā soch rahā huuñ maiñ kyā bhuul gayā

    be-ḳhudī had se jo guzrī to maiñ ik roz 'nafas'

    ghar se kyā niklā ki phir ghar pata bhuul gayā

    kaun si shaKH ka patta tha hara bhul gaya

    peD se TuT ke main apna pata bhul gaya

    main koi wada-faramosh nahin hun phir bhi

    mujh pe ilzam hai main apna kaha bhul gaya

    apne bachchon ke khilaune to use yaad rahe

    ghar mein bimar paDi man ki dawa bhul gaya

    kar to din main ne charaghon ki qataren raushan

    hai zamane ki magar tez hawa bhul gaya

    KHauf-e-dozaKH se Daraata raha waiz mujh ko

    aur KHud apne gunahon ki saza bhul gaya

    tujh se kuchh kaam tha lekin tere ghar ke aage

    ab khaDa soch raha hun ki main kya bhul gaya

    be-KHudi had se jo guzri to main ek roz 'nafas'

    ghar se kya nikla ki phir ghar pata ka bhul gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now