kaun wan jubba-o-dastar mein aa sakta hai
kaun vaañ jubba-o-dastār meñ aa saktā hai
ghar kā ghar hī jahāñ bāzār meñ aa saktā hai
kis liye ḳhud ko samajhtā hai vo patthar kī lakīr
us kā inkār bhī iqrār meñ aa saktā hai
mujh ko ma.alūm hai dariyāoñ kā kaf hai tujh meñ
tū mire mauja-e-pindār meñ aa saktā hai
ai havā kī tarah aThkheliyāñ karne vaale
bal kabhī vaqt kī raftār meñ aa saktā hai
sar pe sūraj hai to phir chhāñv se mahzūz na ho
dhuup kā rañg bhī dīvār meñ aa saktā hai
ye jo maiñ apne ta.iiñ shā.erī kartā huuñ 'azīm'
kyā taḳhayyul mirā iz.hār meñ aa saktā hai
kaun wan jubba-o-dastar mein aa sakta hai
ghar ka ghar hi jahan bazar mein aa sakta hai
kis liye KHud ko samajhta hai wo patthar ki lakir
us ka inkar bhi iqrar mein aa sakta hai
mujh ko malum hai dariyaon ka kaf hai tujh mein
tu mere mauja-e-pindar mein aa sakta hai
ai hawa ki tarah aThkheliyan karne wale
bal kabhi waqt ki raftar mein aa sakta hai
sar pe suraj hai to phir chhanw se mahzuz na ho
dhup ka rang bhi diwar mein aa sakta hai
ye jo main apne tain shaeri karta hun 'azim'
kya taKHayyul mera izhaar mein aa sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.