kaun waqt ai wae guzra ji ko ghabraate hue
kaun vaqt ai vaa.e guzrā jī ko ghabrāte hue
maut aatī hai ajal ko yaañ talak aate hue
ātish-e-ḳhurshīd se uThtā nahīñ dekhā dhuāñ
aa khaḌe ho baam par tum baal sukhlāte hue
chaak aatā hai nazar pairāhan-e-sub.h-e-bahār
kis shahīd-e-nāz ko dekhā hai kafnāte hue
vo na jaage raat ko aur zid se baḳht-e-ḳhufta kī
baj gayā āḳhir gajar zanjīr khaḌkāte hue
kaun waqt ai wae guzra ji ko ghabraate hue
maut aati hai ajal ko yan talak aate hue
aatish-e-KHurshid se uThta nahin dekha dhuan
aa khaDe ho baam par tum baal sukhlate hue
chaak aata hai nazar pairahan-e-subh-e-bahaar
kis shahid-e-naz ko dekha hai kafnate hue
wo na jage raat ko aur zid se baKHt-e-KHufta ki
baj gaya aaKHir gajar zanjir khaDkate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.