kausar ki halawat hai meri tishna-labi mein
kausar ki halawat hai meri tishna-labi mein
Mohammad Aazam Chishti
MORE BYMohammad Aazam Chishti
kausar kī halāvat hai mirī tishna-labī meñ
masrūf huuñ maiñ mad.h-e-rasūl-e-arabī meñ
tanhā.ī meñ dam-sāz hai us mah kā tasavvur
kyoñ mauj-e-ziyā ho na mirī tīra-shabī meñ
hai husn bhī aḳhlāq bhī rahmat bhī karam bhī
makkī madanī hāshmī-o-muttalabī meñ
har husn kā mehvar hai vo ik zāt-e-muqaddas
har ilm kā jauhar hai ik ummī arabī meñ
har zarra nazar aatā hai ḳhurshīd-badāmāñ
jalve haiñ ajab se mire aaqā kī galī meñ
kis aañkh ne dekhā hai koī aap kā ham-sar
kis ko hai kalām aap kī ālī-nasabī meñ
ai chashm-e-karam terī masīhā.ī ke qurbāñ
kuchh farq hai shāyad mirī darmāñ-talabī meñ
'āzam' baḌī ne.amat hai ye ronā ye taḌapnā
har dard kā darmāñ hai is āh-e-saharī meñ
kausar ki halawat hai meri tishna-labi mein
masruf hun main madh-e-rasul-e-arabi mein
tanhai mein dam-saz hai us mah ka tasawwur
kyon mauj-e-ziya ho na meri tira-shabi mein
hai husn bhi aKHlaq bhi rahmat bhi karam bhi
makki madani hashmi-o-muttalabi mein
har husn ka mehwar hai wo ek zat-e-muqaddas
har ilm ka jauhar hai ek ummi arabi mein
har zarra nazar aata hai KHurshid-badaman
jalwe hain ajab se mere aaqa ki gali mein
kis aankh ne dekha hai koi aap ka ham-sar
kis ko hai kalam aap ki aali-nasabi mein
ai chashm-e-karam teri masihai ke qurban
kuchh farq hai shayad meri darman-talabi mein
'azam' baDi neamat hai ye rona ye taDapna
har dard ka darman hai is aah-e-sahari mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.