KHak aur KHwab ki dahliz se bahar ho kar
ḳhaak aur ḳhvāb kī dahlīz se bāhar ho kar
ham ne manzar ko jilā dī pas-e-manzar ho kar
kaisī āsānī meñ haiñ donoñ kināre dil ke
mauj anjām ko pahuñchī hai samundar ho kar
mas.ala aan paḌā hai qad-o-qāmat kā ise
dil ki dam legā kahīñ dard barābar ho kar
vahī aañsū tar-o-tāza ḳhabar-ārā dekhe
jab bhī dekhā hai kabhī ġhaar ke andar ho kar
naqs jaate rahe Duube hue din ke 'shāhīn'
shaam āñkhoñ se nikal aa.ī hai behtar ho kar
KHak aur KHwab ki dahliz se bahar ho kar
hum ne manzar ko jila di pas-e-manzar ho kar
kaisi aasani mein hain donon kinare dil ke
mauj anjam ko pahunchi hai samundar ho kar
masala aan paDa hai qad-o-qamat ka ise
dil ki dam lega kahin dard barabar ho kar
wahi aansu tar-o-taza KHabar-ara dekhe
jab bhi dekha hai kabhi ghaar ke andar ho kar
naqs jate rahe Dube hue din ke 'shahin'
sham aankhon se nikal aai hai behtar ho kar
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 41)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.